Ek Click Se Sabhi Facebook Account Logout Kare

Aapne meri Facebook se related pichhli post padi hogi. Aaj me aapko Facebook ki security ko lekar ek kaam ki jankari dunga. Aaj me aapko bataunga ki aap Ek Click karke apne Facebook Account Logout keise kar sakte hai. Aap agar kisi cafe me jakar Facebook chalate hai aur logout karna bhool jate hai to aap kya karenge. Aap fir se cafe me jayenge aur logout karenge lekin kya aap apne mobile se hi apni sabhi login ko logout kar sakte hai.

aap apne Facebook account me check kar sakte hai ki aapki I’d kis kis mobile me login hai aur kab login ki thi. itna hi nahi aap chahe to un sabko logout bhi kar sakte hai. Mera ye manna hai ki aapko time to time apne mobile se check karte rahna chahiye ki kahi kisi unknown divice me login to nahi hai agar hai to use turant logout kar de. Ye aapki Facebook security ke liye important point hai. Aiye jante hai ki aap logout keise kar sakte hai.

● Freecharge Se Recharge Keise Kare Aur Cashback Le

● apne name ki ringtone download kare free me

Ek click me sabhi Facebook Account Logout keise kare

Step:-1

Sabse pahle aap apne Facebook account login kare. Iske baad aap setting par click kare. Setting par click karne ke baad aap security setting me jaye.

● gmail ko hack hone se bachaye 2step verification se

Step:-2

Security setting me aapko “where are logged in” ka option milega aur aage likha hoga ki aapka account kitni baar login kiya huaa hai. Aap is par click kare.

Facebook Account Logout Kare Ek Click Me
Facebook Account Logout Kare Ek Click Me

Step:-3

Ab aapke saamne list show ho jayegi usme sabhi browser aur divice ke name bhi mil jayenge. Aap jis divice se logout karna chahte hai usse logout kar sakte hai ya sabhi ko select karke remove kar sakte hai.

Facebook Account Logout Kare Ek Click Me
Facebook Account Logout Kare Ek Click Me

Step:-4

Ab aapki sabhi divice logout ho jayegi. Ab jahan bhi login thi agar us divice me login karna chahte hai to fir se kar sakte hai.

● mp3 song me apni photo keise lagaye

● Facebook page keise banaye aur verify kare

● Facebook tag ko automatically remove kare

Last Word

Meine pichhli post me bhi bataya tha ki bahut se user ko apni Facebook profile ko secure karna hi nahi aata. Facebook ek bahut hi powerful messenging app hai isme hume apne account ka poora control milta hai lekin ye bhi sach hai ki sabse jyada hack hone wale account me Facebook ka name bhi aata hai. Iska ek reason ye bhi hai ki bahut se user apne password ki security ko dhyan me nahi rakhte hai. Facebook ke liye sabse jyada use hone wala password 123456 hai. Isliye aap bhi apne password ko abhi strong kar le aur internet ki janakriyo ke liye mere saah jude rahe.

● 2G ke recharge par 3G net chalaye

● Dreamindia250 se ghar beithe kamaye

● free me website keise banaye blogger par

Agar aapko ye post pasand aayi to aap is jankari ko apne friends circle me share kar sakte hai. Ye thi meri post Facebook Account Logout kare ek click me.

Leave a comment