Feedburner Account Keise Banaye

Agar aapne meri pichhli sabhi post padi hai to aap jante honge ki meine aapko btaya tha ki aap Free Me Blog keise bna sakte hai. Aur me ye ummed karta hu ki aapne bhi apna Free blog bnaya hoga to aaj usi blogging se judi jankari aap ke liye laya hu. Aaj aapko btaunga ki Aap apne blog ke liye Feedburner account keise bna sakte hai. Agar aap apne blog ke liye rss feed bna rhe hai to bhi aapko isi par account banana hoga lekin sabse pahle hme ye janna hoga ki Ye hai kya?

Feedburner Kya hai?

Feedburner Google ka hi ek Product hai jo hme free me email Delivery ki suvidha deta hai. Lagbhag sabhi Blogger apne blog ki email Delivery ke liye Feedburner ka hi use karte hai. Agar aapne apna Blog bnaya hai to aap bhi apni website ki traffic bdane ki soch rhe hai. Agar me sahi hu to aapke liye ye account bahut kaam ka hai. Aap is par account bnakar apni website par Email Delivery Ka Option lga sakte hai jisse aapke Blog par aane wale Visitor isko Subscribe krenge uske baad aapki har nayi post aapke Visitor ke paas email se chali jayegi.

Agar meri baat ki jaye to me bhi apne Blog ke liye isi ka use karta hu. Aur me ye bhi manta hu ki lagbhag sabhi blogger isi ka use karte hai kyonki ye free hai har kisi ke liye. Isse aapki website ke traffic me bhi sudhaar hoga aur jyada se jyada log aapki website se judenge.

Feedburner account keise banaye?

iske liye aapko kuchh step Follow karne honge jo aapko me btaunga-

Step:-1

Sabse pahle aap www.Feedburner.com par jaye. Uske baad apni gmail id se login kre.

Step:-2

Login karne ke baad aapke account ka DASHBOARD open ho jayega. Aap usme apni website ka Url likhe.

Iske baad Podcaster wale Option ko tick kre.

Ab aap Next par click kare.

● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal Keise Dekhe

Step:-3

Agli Screen me aapko Identify karna hai ki aap kis-kis ke liye rss feed bna rhe ho aap usme tick kare aur Next par Click kre.

Step:-4

Next window me aapko apne blog ka tittle likhna hai yaad rhe aapka yahi tittle aapke email subscribe karne walo ke paas jayega to aap apne blog ka tittle hi likhe.

Iske baad apni rss feed ka url likhe aur Next par click kre.

Step:-5

Next par click karte hi aapki rss feed ban jayegi aur aapka swagat kiya jayega. Is screen me aapki feed ka url hoga. Ise aap chahe to note kar sakte hai.

Ab aapko kuchh change nahi karna hai jo bhi aage screen aaye sabhi me Next karte jana hai.

Ab aapka Setup Complete ho chuka hai. Aapko ab apne Blog me lgana hai. Blog me lgane ke liye aapko html code ki jarurat hoti hai.

● Ek Click Karke Sabhi Whatsapp Group Me Ek Saath Msg Bheje

Feedburner Email subscription ko Blog me keise lagaye:-

  • Sabse pahle aap Is Dashboard me  Publicize ka option hai us par Click kre.
  • Uske baad Email Subscription par click kre.
  • Aapki ye service abhi Inactive hai usko aap pahle Activate kar le.
  • Iske baad aapko ek html Code mil jayega use aap copy kar le.
  • Ab aap is code ko apni website me jaha chahe lga sakte hai.

Last Word

Feedburner aapke Blog ki traffic badane ke liye bahut hi jaruri hai. Har blogger apne blog ke liye email Delivery System rakhte hai isse unke blog ki traffic bhi achhi hoti hai. Aap ye post pad rhe hai isliye me maan leta hu ki aap abhi Blogging me naye hai aap jeise jeise blogging krenge aapko pata chal jayega ki aapke liye ye kitna jaruri hai.

● Dreamindia250 Se Ghar Beithe Lakho Kamaye

Agar aap WordPress platform ka use blogging ke liye karte hai to aapko bahut sare option milenge Email Delivery ke liye lekin sabse Better me Ise hi manta hu because ye Google ka product hai aur 100% free hai. Aap bhi jante hai ki Google ke har Product hmare bahut kaam ke hote hai. Aapko ye post kesi lagi mujhe btaye. ise apne dosto me share jarur kre jisse wo bhi iska use kar sake. Aapko agar koi problem aati hai to aap comment box ka use kar sakte hai mujhe aapki help karne me khushi hogi.

 

4 thoughts on “Feedburner Account Keise Banaye”

  1. your content is valuable to me,buti cant under stand every thing,to be honest.asha karte hay dhire dhire sab samajh jaunga.thanks tapas bhattacharya.

    Reply
  2. rss feed kya. hai. aur. blog tamplate me adhik menu add kaise kare matlab. aapne apne blog me menu bahut sare lgaye hai. aur mere tamplate me ustne menu nahi hai jisko mai edit kar saku. to. alag se menu add kaise kare

    Reply
    • rss feed url -http://feeds.feedburner.com/hindistock0138
      ज्यादा menu show करने के लिए मैं custom menu का use करता हूँ। आप भी कर सकते है।

      Reply

Leave a comment